Koi Humdum Na Raha - कोई हमदम न रहा

Movie: Jhumroo (1961)
Singer: Kishore Kumar,
Lyricist: Majrooh Sultanpuri

Song Movie Clip



Lyrics:
Koi Humdum Na Raha, Koi Sahara Na Raha
Ham Kisi Ke Na Rahe, Koi Hamara Na Raha
Koi Humdum Na Raha, Koi Sahara Na Raha

Shaam Tanhaayi Ki Hai, Aayegi Manzil Kaise
Shaam Tanhaayi Ki Hai, Aayegi Manzil Kaise
Jo Mujeh Raah Deekhaye, Woh Taara Na Raha
Koi Humdum Na Raha, Koi Sahara Na Raha

Aye Nazaaron Na Hasso, Mil Na Sakunga Tumse
Aye Nazaaron Na Hasso, Mil Na Sakunga Tumse
Woh Mere Ho Na Sake, Main Bhi Tumhara Na Raha
Koi Humdum Na Raha, Koi Sahara Na Raha

Kya Bataaon Main Kahan, Yunhi Chala Jaata Hoon
Kya Bataaon Main Kahan, Yunhi Chala Jaata Hoon
Jo Mujeh Phir Se Bulahle, Woh Ishaara Na Raha
Koi Humdum Na Raha, Koi Sahara Na Raha
Hum Kisike Na Rahe, Koi Hamara Na Raha

0 comments: